Best Love Shayari in Hindi 1000 Romantic and Emotional Lines
Love is a blend of romance, emotions, and pain, and poetry becomes the best way to express these feelings. Best Love Shayari in Hindi 1000 Romantic and Emotional Lines is created for readers who want to feel true love through deep and meaningful words. In this collection, you will find the best love shayari on one-sided love in Hindi, emotional pain, and silent heartbreak. It also includes Best bewafa love shayari in Hindi, Best pain one-sided love shayari in Hindi, and Best 2-line hate love shayari that reflect every shade of love.
Read Also: Top 160+ Love Shayari in Gujarati
Table of Contents
Best love shayari on one-sided love in Hindi
Best love shayari on one sided love in Hindi expresses silent pain, true feelings, and deep unspoken emotions.
Agar main tum se rooth gaya aur tum mujhe manaane nahi aayi,
to yaad rakhna, main haar to jaaunga, magar tumhein bhool nahi paaunga.
अगर मैं तुमसे रूठ गया और तुम मुझे मनाने नहीं आई,
तो याद रखना, मैं हार तो जाऊँगा, मगर तुम्हें भूल नहीं पाऊँगा।
Teri aawaaz se shifa paane wale
Tere lehje ki berukhi se mar gaye
तेरी आवाज़ से शिफ़ा पाने वाले
तेरे लहजे की बेरुख़ी से मर गए

Aapka wujood mere sir par saaya hai.
Aapki maujoodgi hi meri taqat hai.
आपका वजूद मेरे सिर पर साया है।
आपकी मौजूदगी ही मेरी ताक़त है।
Maine zindagi mein bahut rishte dekhe
Magar tum jaisa saath kahin nahi mila.
मैंने जिंदगी में बहुत रिश्ते देखे
मगर तुम जैसा साथ कहीं नहीं मिला।
Jo kam bolkar bhi sab samajh jaaye,
Jo khud thak kar bhi mere chehre ki muskaan dhoonde.
जो कम बोलकर भी सब समझ जाए,
जो खुद थककर भी मेरे चेहरे की मुस्कराहट ढूंढे।
Tumhari muskaan meri duniya roshan karti hai,
Tumhare bina sab kuch veeraan lagta hai.
तुम्हारी मुस्कान मेरी दुनिया रोशन करती है,
तुम्हारे बिना सब कुछ वीरान लगता है।
Tumhari qareeb mein har khwaahish ko zubaan mil jaati hai
Tumhari ek nazar se dil ki duniya mehak jaati hai
तुम्हारी क़रीब में हर ख़्वाहिश को ज़ुबान मिल जाती है,
तुम्हारी एक नज़र से दिल की दुनिया महक जाती है।
Tumhare qareeb rehkar har dard bhi meetha lagta hai,
Tumhare saath har lamha jannat sa lagta hai.
तुम्हारे क़रीब रहकर हर दर्द भी मीठा लगता है,
तुम्हारे साथ हर लम्हा जन्नत सा लगता है।

Har lamha teri yaad mein kho jaata hai,
Dil ki dhadkan tujhse milne ko taras jaati hai.
हर लम्हा तेरी याद में खो जाता है,
दिल की धड़कन तुझसे मिलने को तरस जाती है।
Sapno ki duniya mein bas ek tera naam hai,
Har khwaahish mein bas tera hi kaam hai.
सपनों की दुनिया में बस एक तेरा नाम है,
हर ख़्वाहिश में बस तेरा ही काम है।
Dil ki gehraiyon mein bas ek tera asar hai,
Tere bina har khushi bhi adhura sa nazar hai
दिल की गहराइयों में बस एक तेरा असर है,
तेरे बिना हर खुशी भी अधूरा सा नज़र है।
Mere honthon par thehra rehta hai bas tumhara naam
Tum se hi mohabbat hai, tum se hi meri har baat ban jaati hai
मेरे होंठों पर ठहरा रहता है बस तुम्हारा नाम,
तुम से ही मोहब्बत है, तुम से ही मेरी हर बात बन जाती है।
Lambi baaton se mujhe koi matlab nahi
Mujhe to unka ‘ji’ kehna bhi kamaal lagta hai
लंबी बातों से मुझे कोई मतलब नहीं,
मुझे तो उनका “जी” कहना भी कमाल लगता है।
Chhoti si list hai meri ichchhaon ki
Pehli bhi tum
Aakhri bhi tum
छोटी सी सूची है मेरी इच्छाओं की,
पहली भी तुम,
आख़िरी भी तुम।
Honge wo koi aur jinhe pyaar ki kadar nahi
Hum jinhe chahte hain, unhe zindagi bana lete hain
होंगे वो कोई और जिन्हें प्यार की क़दर नहीं,
हम जिन्हें चाहते हैं, उन्हें ज़िंदगी बना लेते हैं।

Pyaar unhi ko milta hai jo dil se dete hain
Aur wahi rishte hamesha yaad rehte hain
प्यार उन्हीं को मिलता है जो दिल से देते हैं
और वही रिश्ते हमेशा याद रहते हैं
Jinki muskaan dil ko choo jaaye
Wahi zindagi mein sabse khaas hote hain
जिनकी मुस्कान दिल को छू जाए
वही जिंदगी में सबसे खास होते हैं
Har rishte ki shuruaat bharose se hoti hai
Aur uski misaal sirf sacche pyaar mein milti hai
हर रिश्ते की शुरुआत भरोसे से होती है
और उसकी मिसाल सिर्फ सच्चे प्यार में मिलती है
Kuch log milte hain to zindagi badal jaati hai
Aur unki yaadein hamesha dil mein rehti hain
कुछ लोग मिलते हैं तो जिंदगी बदल जाती है
और उनकी यादें हमेशा दिल में रहती हैं
Tumhara naam liya tha kabhi mohabbat se
Mithaas uski abhi bhi meri zubaan mein hai
तुम्हारा नाम लिया था कभी मोहब्बत से
मिठास उसकी अभी भी मेरी ज़ुबान में है
Best bewafa love shayari in hindi
Best Love Shayari in Hindi 1000 Romantic and Emotional Lines features the Best bewafa love shayari in Hindi that expresses heartbreak, pain, and broken trust through emotional words.
Pehle mohabbat paak hua karti thi
Ab mohabbat karke paak hona padta hai
पहले मोहब्बत पाक हुआ करती थी
अब मोहब्बत करके पाक होना पड़ता है
Bahut milenge tumhe adab aur adaab wale
Par yaad aayengi tumhe meri badtameeziyaan
बहुत मिलेंगे तुम्हें अदब और आदाब वाले
पर याद आएँगी तुम्हें मेरी बदतमीज़ियाँ

Aap maan hi nahi rakh paaye
Ab akeli mohabbat ka kya karna
आप मान ही नहीं रख पाए
अब अकेली मोहब्बत का क्या
Dil todkar tum chale gaye
Ab sirf yaadein hi saath hain
दिल तोड़कर तुम चले गए
अब सिर्फ यादें ही साथ हैं
Mujhe ulfat tujhse hai warna
Log tujhse bhi khoobsurat hain
मुझे उल्फ़त तुझसे है वरना
लोग तुझसे भी खूबसूरत हैं
Pyaar kiya tha sacche dil se
Par tumne use bewafa bana diya
प्यार किया था सच्चे दिल से
पर तुमने उसे बेवफा बना दिया
Ab mohabbat ka safar akele tay karna hoga
Tere bina har raah sunsaan lagti hai
अब मोहब्बत का सफर अकेले तय करना होगा
तेरे बिना हर राह सुनसान लगती है
Jo fana ho jaaun teri chahat mein to garv mat karna
Yeh asar nahi tere ishq ka, meri deewangi ka hunar hai
जो फना हो जाऊँ तेरी चाहत में तो गर्व मत करना
यह असर नहीं तेरे इश्क़ का, मेरी दीवानगी का हुनर है

Main bhi kuch nahi tha aur tum bhi.
Yaani jo kuch tha, khwaab tha.
मैं भी कुछ नहीं था और तुम भी।
यानी जो कुछ था, ख़्वाब था।
Mujhe bhi sikha do bhool jaane ka hunar
Mujhse raaton ko uth uth kar roya nahi jaata
मुझे भी सिखा दो भूल जाने का हुनर
मुझसे रातों को उठउठ कर रोया नहीं जाता
Azaad kar diye manpasand log
Na koi khwaahish, na koi rog
आज़ाद कर दिए मनपसंद लोग
ना कोई ख़्वाहिश, ना कोई रोग
Kaash koi to aisa hota
Jo hamare bina na reh sakta
काश कोई तो ऐसा होता
जो हमारे बिना न रह सकता
Mere baghair bhi ab din guzar rahe hain tere
Yaqeen kar, teri himmat ki daad banti hai
मेरे बिना भी अब दिन गुज़र रहे हैं तेरे
यक़ीन कर, तेरी हिम्मत की दाद बनती
Main is hatheli pe roshan hua aur uske baad
Wahi hua, jo chiragon ke saath hota hai
मैं इस हथेली पे रोशन हुआ और उसके बाद
वही हुआ, जो चिरागों के साथ होता है

Woh jo dil mein qiyaam karte hain
Wahi to jeena kharaam karte hain
वो जो दिल में क़ियाम करते हैं
वही तो जीना ख़राम करते हैं
Jinka ishq sachcha ho, woh kabhi fariyaad nahi karte
Labon pe khamoshi rakhte hain, dilon se yaad karte hain
जिनका इश्क़ सच्चा हो, वो कभी फरियाद नहीं करते
लबों पे खामोशी रखते हैं, दिलों से याद करते हैं
Mujhe ma loom nhi mohabbat ki tareef, magar
Tujhe dekhoon to dil ko sukoon milta hai
मुझे मालूम नहीं मोहब्बत की तारीफ़, मगर
तुझे देखूँ तो दिल को सुकून मिलता है
Jhaank kar dekha jab khud mein
Kai jazbaaton ki laashen padi thi mujh mein
झांक कर देखा जब खुद में
कई जज़्बातों की लाशें पड़ी थीं मुझ में
Thanda mausam aur halki baarish
Haath mein uska haath tha
ठंडा मौसम और हल्की बारिश
हाथ में उसका हाथ था

Aa baith, tujhse uccha sthaan doon
Tujhse nikaah kar, tujhe apna naam doon
आ बैठ, तुझें اعلی स्थान दूँ
तुझसे निकाह कर, तुझे अपना नाम दूँ
Best 2 line hate love shayari
Best Love Shayari in Hindi 1000 Romantic and Emotional Lines also includes Best 2 line hate love shayari that expresses love mixed with pain, anger, and deep emotions.
Ghalti hi nahi banti berukhi ki
Dil hi to tha, bhar gaya hoga
ग़लती ही नहीं बनती बेरुख़ी की
दिल ही तो था, भर गया होगा
Gham-e-jahan ho, rukh-e-yaar ho ya dast-e-adu,
Sulook jisse kiya humne, woh humne aashiqana kiya.
ग़म-ए जहां हो, रुख़-ए यार हो या दुश्मन का हाथ,
सुलूक जिससे किया हमने, वो हमने आशिक़ाना किया।

Nafsanafsi jo daur aaya pyare,
Yahan adakar milte hain, wafadar nahi.
नफ़्सानफ़सी का दौर आया प्यारे,
यहाँ अभिनेता मिलते हैं, वफ़ादार नहीं।
Kya sitam hai ki ab teri soorat
Gaur karne par yaad aati hai
क्या सितम है कि अब तेरी सूरत
गौर करने पर याद आती है
Tera sooraj ke qabele se to koi talluq nahi
Yeh kahan se tujhe aaya hai sabka hona
तेरा सूरज के कबीले से तो कोई ताल्लुक नहीं
यह कहाँ से तुझे आया है सबका होना
Apni pehchaan ko khud hi mazboot banao,
Yahan koi tumhare hisse ka dard nahi jhelega।
अपनी पहचान को खुद ही मजबूत बनाओ,
यहाँ कोई तुम्हारे हिस्से का दर्द नहीं झेलेगा।
Woh jaanta hai ki uske hone se sukoon hai
Lekin phir bhi woh guftagu adhuri chhod jaata hai.
वो जानता है कि उसके होने से सुकून है
लेकिन फिर भी वो बातचीत अधूरी छोड़ जाता है।

Kisi ko dhokha dekar ye mat sochna ki woh kitna bevkoof tha,
Balki ye sochna ki use tum par kitna bharosa tha।
किसी को धोखा देकर ये मत सोचना कि वह कितना बेवकूफ़ था,
बल्कि ये सोचो कि उसे तुम पर कितना भरोसा था।
Labon pe aayi thi ek baat, harf-e-haq ban kar
Khabar ye phaili jahan mein ki zubaan daraz hain hum
लबों पे आई थी एक बात, हर्फ़-ए-हक़ बनकर
ख़बर ये फैली जहाँ में कि ज़बां दराज़ हैं हम।
Yaqeenan hum unhi logon ke haathon shikast kha gaye,
jin ke baare mein hum bhalaai ka gumaan rakhte the.
निश्चित ही हम उन्हीं लोगों के हाथों हार गए,
जिनके बारे में हम भलाई का गुमान रखते थे।
Jinhein aap ki qadr o qeemat ka ehsaas hi nahi
un se munh mod lena bhi ek nayi zindagi hai.
जिन्हें आपकी क़दर और क़ीमत का एहसास ही नहीं
उनसे मुँह मोड़ लेना भी एक नई ज़िंदगी है।
Tum ho to har pal khaas lagta hai
Tum na ho to dil udaas lagta hai
तुम हो तो हर पल ख़ास लगता है
तुम न हो तो दिल उदास लगता है
Nafrat bhi tum se kamaal ki hui,
jitni ki… utni hi mohabbat barhti gayi.
नफ़रत भी तुमसे कमाल की हुई,
जितनी की… उतनी ही मोहब्बत बढ़ती गई।
Tum se ishq bhi tha, shikayat bhi thi,
nafrat ki har wajah mein mohabbat hi nikli.
तुमसे इश्क़ भी था, शिकायत भी थी,
नफ़रत की हर वजह में मोहब्बत ही निकली।
Nafrat ka daawa karte rahe umar bhar,
aur dil har dua mein tumhein maangta raha.
नफ़रत का दावा करते रहे उम्र भर,
और दिल हर दुआ में तुम्हें माँगता रहा।

Yaar tera haq nahi banta tha dard dene ka
Tujhe to saare dukh bataye the zindagi ke
यार तेरा हक़ नहीं बनता था दर्द देने का
तुझे तो सारे दुख बताए थे ज़िंदगी के
Apnon se milne wale zakhm zyada gehre hote hain,
kyon ke ghair to humein pehle hi ajnabi lagte hain.
अपनों से मिलने वाले ज़ख़्म ज़्यादा गहरे होते हैं,
क्योंकि गैर तो हमें पहले ही अजनबी लगते हैं।
Hum ne mohabbat samajh kar tum par bharosa kiya,
tum ne kamzori samajh kar humein tod diya.
हमने मोहब्बत समझकर तुम पर भरोसा किया,
तुमने कमज़ोरी समझकर हमें तोड़ दिया।
Tum se nafrat ka bahaana banaya,
magar dil aaj bhi tumhari mohabbat maangta hai.
तुमसे नफ़रत का बहाना बनाया,
मगर दिल आज भी तुम्हारी मोहब्बत माँगता है।
Tujhe maloom nahi andaaz-e-aqeedat,
dil khud-b-khud jhukta hai, jhukaya nahi jaata
तुझे पता नहीं अंदाज़-ए-ईक़ीदत,
दिल खुद-ब-खुद झुकता है, झुकाया नहीं जाता।
Best pain one sidedlove shayari in hindi
Best Love Shayari in Hindi 1000 Romantic and Emotional Lines also features Best pain one sided love shayari in Hindi, expressing silent heartbreak, deep pain, and unspoken emotions.
Tum mujhe apni ana mat dikhaya karo,
tumhare liye to main ro padti hoon.
तुम मुझे अपनी अना मत दिखाया करो,
तुम्हारे लिए तो मैं रो पड़ती हूँ।
Woh jo kehte the kabhi hum na chhodenge tumhein,
aaj wahi log wajah bane tanha reh jaane ki
वो जो कहते थे कभी हम न छोड़ेंगे तुम्हें,
आज वही लोग वजह बने तन्हा रह जाने की

Bichhad ke tujh se mujhe aur kya mila aakhir?
Na sukoon dil ko, na chain raaton ka
बिछड़ के तुझसे मुझे और क्या मिला आख़िर?
न सुकून दिल को, न चैन रातों
Waqt ke saath sab badal jaate hain,
kuch khwaab, kuch log aur kuch apne
वक़्त के साथ सब बदल जाते हैं,
कुछ ख्वाब, कुछ लोग और कुछ
Hum ne mohabbat ki, unhone tijarat samjhi,
Dil lagaya hum ne, unhone fursat samjhi
हमने मोहब्बत की, उन्होंने तिजारत समझी,
दिल लगाया हमने, उन्होंने फ़ुरसत
Woh nahi to koi aur bhi nahi,
Dil hai mera, bazaar thodi
वो नहीं तो कोई और भी नहीं,
दिल है मेरा, बाज़ार थोड़ी।
Na ruki waqt ki gardish, na zamana badla
Darakht sukha to parindon ne thikana badla
ना रुकी वक़्त की गर्दिश, ना ज़माना बदला
पेड़ सूखा तो पंछियों ने ठिकाना बदला
Jo mil na saka uska intezaar kyon
Jo mil raha hai usse inkaar kyon
जो मिल न सका उसका इंतज़ार क्यों
जो मिल रहा है उससे इंकार क्यों
Is Se pahle k bewafa ho jaayein
Kyun Na ay dost! hum juda ho jaayein
इससे पहले कि बेवफ़ा हो जाएँ›
क्यों न ऐ दोस्त! हम जुदा हो
Chup chaap seh liya har vaar maine,
Muskura ke chhupa liya har pyaar maine
चुपचाप सह लिया हर वार मैंने,
मुस्कुरा के छुपा लिया हर प्यार मैंने।

Mujhe lahje badalne se hamesha khauf aata hai
Lahje jab badalte hain, koi apna nahi rehta
मुझे लहज़े बदलने से हमेशा डर लगता
लहज़े जब बदलते हैं, कोई अपना नहीं
Koi nahi hai yahan aitbaar ke qaabil
Kisi ko raaz bataoge to maare jaoge
यहाँ कोई भी भरोसे के क़ाबिल नहीं
किसी को राज़ बताओगे तो मारे
Jahan das log aapko pasand karenge,
Wahin do log na-pasand bhi karenge
जहाँ दस लोग आपको पसंद करेंगे,
वहीं दो लोग नापसंद भी
Use kehna ke tere vaade bhoolne ka kafara nahi hoga
Laut bhi aao to dil ab tumhara nahi hoga
उसे कहना कि तेरे वादे भूलने का क़फारा नहीं होगा
लौट भी आओ तो दिल अब तुम्हारा नहीं
Mohabbat to har koi karta hai
Nibhaane ka jigar koi koi rakhta hai
मोहब्बत तो हर कोई करता है
निभाने का जिगर कोई कोई रखता है
Bhoolna meri aadat nahi
Yaadasht chali jaaye alag baat hai
भूलना मेरी आदत नहीं
यादाश्त चली जाए अलग बात है

Tumhari yaad aati hai har saans ke saath
Saans chali jaaye to alag baat hai
तुम्हारी याद आती है हर सांस के साथ
सांस चली जाए तो अलग बात है
Wafa karna mera usool hai
Maut aa jaaye to alag baat hai
वफ़ा करना मेरा उसूल है
मौत आ जाए तो अलग बात है
Kaash aa jaate woh mujhe jaan se guzarte dekhein
Us ki khwahish thi kabhi mujh ko bikharte dekhein
काश आ जाते वो मुझे जान से गुज़रते देखें
उसकी ख़्वाहिश थी कभी मुझको बिखरते देखें
Woh saleeqe se hue hum se gurezān warna
Log to saaf mohabbat mein karte dekhe
वो सलीक़े से हुए हमसे ग़रीज़ाँ वरना
लोग तो साफ़ मोहब्बत में करते देखे

Conclusion
This collection of Best Love Shayari in Hindi 1000 Romantic and Emotional Lines brings together romance, emotions, and heartbreak in simple words. Whether you relate to one-sided love, bewafa pain, or emotional hate love feelings, these shayari connect directly with the heart. If you are searching for emotional, romantic, and heart-touching love poetry, Best Love Shayari in Hindi 1000 Romantic and Emotional Lines is perfect for expressing your true emotions.
